Udit Narayan Udit Narayan - Sitaara Aankhein

Sitaron si jagmaga rahi hain tumhaari aankhein sitaara aankhein
Kabhi sharaarat kabhi mohabbat har ek pal ek ishaara aankhein
Sitaron si jagmaga rahi hain tumhaari aankhein sitara aankhein

Kabhi ye aankhein hain neeli jheelein kabhi ye aankhein hain jaam jaise

Kabhi hai subahon si ujli ujli kabhi nasheeli ki shaam jaise
Kabhi nazaaron ke dekhti hain kabhi hain khud ek nazaara aankhein

Sitaron si jagmaga rahi hain tumhaari aankhein sitara aankhein
Kabhi sharaarat kabhi mohabbat har ek pal ek ishaara aankhein
Sitaron si jagmaga rahi hain tumhaari aankhein sitaara aankhein

Kabhi ye aankhein jo meherbaan hon to main zara sa ye kaam kar loon

Salaam karne ki aarzoo hai idhar jo dekhe salaam kar loon
Main aankhon aankhon mein ye bhi keh doon na hongi aisi dubaara aankhein