Kavita Krishnamurthy Kavita Krishnamurthy - Koi Ajnabee Mila

mohabbat mein jab ek dil dhadakta hain toh uss dil ki dhadkanen kisi dusre dil ke darwaaje pe jaake dastak deti hain
aur aahista aahista dusre dil ki soyi hui dhadkanen jaag uth ti hain aur phir kisi pe yakeen karne ko dil chahata hain

koi ajanabee mila usne yeh kahaa yun tumhen aur hamein ek din toh milna hi tha
soyi thi yeh zindagi jaag si gayi raah mein chaah mein yeh phool khilna hi tha
koi ajanabee mila

jaage jaage se hain mere tann mann jaagi jaagi si hain meri dhadkan aa~
meethi meethi hain koi baat dil mein meethi meethi si hain koi uljhan
main bhi hairaan hoon yeh huaan kya rang hi dil ka hain ab naya
koi ajanabee mila usne yeh kahaa yun tumhen aur hamein ek din toh milna hi tha
soyi thi yeh zindagi jaag si gayi raah mein chaah mein yeh phool khilna hi tha
koi ajanabee mila

mehka mehka sa hain jaise har pal pighla pighla sa hain koi baadal
sulghi sulghi si hain meri saansen dhalka dhalka sa hain mera aanchal
main kahaan aa gayi kya pata main toh khwaabon ki duniya mein hoon
koi ajanabee mila usne yeh kahaa yun tumhen aur hamein ek din toh milna hi tha
soyi thi yeh zindagi jaag si gayi raah mein chaah mein yeh phool khilna hi tha
koi ajanabee mila ajanabee mila ajanabee mila