Jhonka Hava Ka Aaj Bhi
Zulfein Udaata Hoga Na
Tera Dupatta Aaj Bhi
Tere Sar Se
Sarakta Hoga Na
Baalon Mein Tere Aaj Bhi
Phool Koi Sajta Hoga Na
Dhandi Havaein Raaton
Mein Tujhko Thapkiya
Deti Hogi Na
Chaand Ki Thandak Khwaabon
Mein Tujhko Leke To
Jaati Hogi Na
Sooraj Ki Kirnen Subah Ko
Teri Neendein
Udaati Hogi Na
Mere Khayaalon Mein Sanam
Khud Se Bhi Baatein
Karti Hogi Na
Main Dekhta Hoon Chhup
Chhupke Tumko Mehsoos
Karti Hogi Na
Jhonka Hava Ka Aaj Bhi
Zulfein Udaata Hoga Na
Tadev Lagnam Suridam Tadev
Naarabalam Chandra Balan Tadev
Vidya Balam Daiv Balan Tadev
Lakshmi Pate Tendra Yugam Swarami
Shubmangal Sawadha
Kaagaz Pe Meri Tasveer
Jaisi Kuchh To Banati Hogi Na
Ulat Palatke Dekh Ke Usko
Jee Bhar Ke Hansti Hogi Na
Hanste Hanste Aankhein
Tumhari Bhar Bhar Aati Hogi Na
Mujhko Dhaka Tha Dhoop
Mein Jisse Vo Aanchal
Bhigoti Hogi Na
Saawan Ki Rimjhim Mera
Taraana Yaad Dilati Hogi Na
Ek Ek Meri Baatein Tumko
Yaad To Aati Hogi Na
Yaad To Aati Hogi Na
Yaad To Aati Hogi Na
Kya Tum Mere In Sab Sawaalon Ka
Kuchh To Jawaab Dogi Na